New Delhi__ PM Modi ne aaj laal qile se ek aisi baat kahi, jo desh ke dil ko chhoo gayi. Unhone Rashtriya Swayamsevak Sangh (RSS) ki 100 saal ki shandaar yatra ko salute kiya aur use ‘duniya ka sabse bada NGO’ bataya. Yeh sunkar har koi hairan aur khush tha.
PM Modi ne kaha ki RSS ne pichhle 100 saalon mein ‘vyakti nirman’ aur ‘rashtra nirman’ ke liye apna jeevan samarpit kar diya. Unhone swayamsevakon ki seva, samarpann, sangathan aur anupam anushasan ki tareef ki. Yeh woh vichaar hain, jo har Bharatiya ke dil mein gunjte hain.
PM ne kaha ki desh sirf sarkaar se nahi banta, balki har ek vyakti, har ek sanstha ke prayas se banta hai. Isliye, RSS ka yeh shatabdi varsh ek garv aur gaurav ka pal hai. Unhone kaha ki RSS ka safar hum sabko aage bhi prerit karta rahega.
Yeh kehna galat nahi hoga ki PM Modi ne laal qile se desh ko ek naya sandesh diya. Unhone bataya ki desh ko banaya ja sakta hai, agar hum sab ekjut hokar, ek lakshya ke liye kaam karein. Jaise RSS ne pichle 100 saalon mein kiya hai.